Search Words, Verses/Shair In Iqbal Poetry

Wednesday, 30 March 2011

(Bang-e-Dra-054) Kya Kahun Apne Chaman Se Main Judda Kyunker Hua

Kya Kahun Apne Chaman Se Main Juda Kyunkar Huwa
Aur Aseer-e-Halqa-e-Daam-e-Hawa Kyunkar Huwa

Jaye Hairat Hai Bura Sare Zamane Ka Hun Mein
Mujh Ko Ye Khilaat Sharafat Ka Atta Kyunkar Huwa

Kuch Dekhne Dikhane Ka Tha Taqaza Toor Par
Kya Khabar Hai Tujh Ko Ae Dil Faisala Kyunkar Huwa

Hai Talab Be-Mudda Hone Ki Bhi Ek Mudda
Murgh-e-Dil Dam-e-Tamanna Se Raha Kyunkar Huwa

Dekhne Wale Yahan Bhi Dekh Lyte Hain Tujhe
Phir Ye Wada Hashar Ka Sabr Azma Kyunkar Huwa

Husn-e-Kamil Hi Na Ho Iss Be-Hijabi Ka Sabab
Woh Jo Tha Pardon Mein Pinhan, Khudnuma Kyunkar Huwa

Mout Ka Nuskha Abhi Baqi Hai Ae Dard-e-Faraaq!
Charahgar Diwana Hai, Main La-Dawa Kyunkar Huwa

Tu Ne Dekha Hai Kabhi Ae Didah-e-Ibrat Ke Gul
Ho Ke Paida Khak Se Rangeen Qaba Kyunkar Huwa

Pursish-e-Amaal Se Maqsad Tha Ruswayi Meri
Warna Zahir Tha Sabhi Kuch, Kya Huwa, Kyunkar Huwa

Mere Mitne Ka Tamasha Dekhne Ki Cheez Thi
Kya Bataun Un Ka Mera Samna Kyunkar Huwa

No comments:

Post a Comment