Search Words, Verses/Shair In Iqbal Poetry

Wednesday, 30 March 2011

(Bang-e-Dra-064) Haqiqat-e-Husn

Haqiqat-e-Husn

Khuda Se Husn Ne Ek Roz Ye Sawal Kiya
Jahan Mein Kyun Na Mujhe Tu Ne La-Zawal Kiya

Mila Jawab Ke Tasveer-e-Khana Hai Dunya
Shab-e-Daraz-e-Aadam Ka Fasana Hai Dunya

Huwi Hai Rang-e-Taghiyar Se Jab Namood Uss Ki
Wohi Haseen Hai Haqiqat Zawal Hai Jis Ki

Kahin Qareeb Tha, Ye Gutugu Qamar Ne Suni
Falak Pe Aam Huwi, Akhtar-e-Sehar Ne Suni

Sehar Ne Tare Se Sun Kar Sunayi Shabnam Ko
Falak Ki Baat Bata Di Zameen Ke Mehram Ko

Bhar Aye Phool Ke Ansu Payam-e-Shabnam Se
Kali Ka Nanha Sa Dil Khoon Ho Gya Gham Se

Chaman Se Rota Huwa Mousam-e-Bahar Gya
Shabab Sair Ko Aya Tha, Sogawar Gya

No comments:

Post a Comment