Aik Khat Ke Jawan Mein
Hawas Bhi Ho To Nahin Mujh Mein Himmat-e-Tag-o-Taaz
Husool-e-Jah Hai Wabasta-e-Mazaq-e-Talash
Hazar Shukar, Tabiat Hai Raiza Kaar Meri
Hazar Shukar, Nahin Hai Damagh-e-Fitna-e-Tarash
Mere Sukhan Se Dilon Hain Khaitian Sar Sabz
Jahan Mein Hun Main Missal-e-Sihaab Darya Pash
Ye Uqdah Haye Siasat Tujhe Mubarik Hon
Ke Faiz-e-Ishq Se Nakhan Mera Hai Seena Kharash
Hawaye Bazm-e-Salateen Daleel-e-Murda Dili
Kiya Hai Hafiz-e-Rangeen Nawa Ne Raaz Ye Fash
“Garat Hawast Ke Ba-Khizr Hum Nasheen Bashi
Nihan Za Chashm-e-Sikandar Cho Aab-e-Heewan Bash”

No comments:
Post a Comment