Search Words, Verses/Shair In Iqbal Poetry

Thursday, 21 April 2011

(Bang-e-Dra-169) Teh-e-Daam Bhi Ghazal Aashna Rahe Tairan-e-Chaman To Kya

Teh-e-Daam Bhi Ghazal Ashna Rahe Taaeeran-e-Chaman To Kya
Jo Faghan Dilon Mein Tarap Rahi Thi, Nawaye Ziar-e-Labi Rahi

Tera Jalwa Kuch Bhi Tasalli Dil-e-Na-Saboor Na Kar Saka
Wohi Garya-e-Sehri Raha, Wohi Aah-e-Neem Shabi Rahi

Na Khuda Raha Na Sanam Rahe, Na Raqeeb-e-Dair-o-Haram Rahe
Na Rahi Kahin Asadullah, Na Kahin Abu Lahbi Rahi

Mera Saaz Agarcha Sitam Raseeda-e-Zakhama Haye Ajam Raha
Woh Shaheed-e-Zauq Wafa Hun Mein Ke Nawa Meri Arabi Rahi

No comments:

Post a Comment