Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana
Woh Adab Gah-E-Mohabbat, Vo Nigah Ka Taziyana
Ye Butan-E-Asar-E-Hazir K Bane Hain Madrasay Mein
Na Ada’ay Kafirana, Na Taraash-E-Azrana
Nahin Iss Khuli Faza Mein Koi Ghosh’ay Faraghat
Ye Jahan Ajab Jahan Hai, Qafas Na Ashiyana
Rag-E-Taak Muntazir Hai Teri Barish-E-Karam Ki
K Ajam Ke Mai Kadon Mein Na Rahi Mai’ay Maghana
Mere Hum Safeer Isse Bhi Asar-E-Bahar Samjhe
Inhain Kya Khabar K Kya Hai Ye Nawa’ay Ashiqana
Mere Khaak-O-Khoon Se Tu Ne Ye Jahan Kiya Hai Payda
Sila-E-Shaheed Kya Hai, Tab-O-Taab-E-Javidana
Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzr Rahe Hain
Na Gila Hai Doston Ka, Na Shakayat-E-Zamana

No comments:
Post a Comment