Search Words, Verses/Shair In Iqbal Poetry

Tuesday, 5 April 2011

(Bang-e-Dra-101) Tarana-e-Milli

Tarana-e-Milli

Cheen-o-Arab Humara, Hindustan Humara
Muslim Hain Hum, Watan Hai Sara Jahan Humara

Touheed Ki Amanat Seenon Mein Hai Humare
Asan Nahin Nitana Naam-o-Nishan Humara

Dunya Ke Butkadon Mein Pehla Woh Ghar Khuda Ka
Hum Uss Ke Pasban Hain, Woh Pasban Humara

Taighon Ke Saye Mein Hum Pal Kar Jawan Huwe Hain
Khanjar Hilal Ka Hai Qoumi Nishan Humara

Maghrib Ki Wadiyon Mein Goonji Azan Humari
Thamta Na Tha Kisi Se Seel-e-Rawan Humara

Batil Se Dabne Wale Ae Asman Nahin Hum
Sou Baar Kar Chuka Hai Tu Imtihan Humara

Ae Gulistan-e-Aundlas ! Woh Din Hain Yaad Tujh Ko
Tha Teri Daliyon Par Jab Ashiyan Humara

Ae Mouj-e-Dajla! Tu Bhi Pehchanti Hai Hum Ko
Ab Tak Hai Tera Darya Afsana Khawan Humara

Ae Arz-e-Pak! Teri Hurmat Pe Kat Mare Hum
Hai Khoon Teri Ragon Mein Ab Tak Rawan Humara

Salar-e-Karwan Hai Meer-e-Hijaz (S.A.W.) Apna
Iss Naam Se Hai Baqi Aram-e-Jaan Humara

Iqbal Ka Tarana Bang-e-Dra Hai Goya
Hota Hai Jadah Pema Phir Karwan Humara

No comments:

Post a Comment